dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna dua wo karte k ham asman hila dete hamein ye zom raha ab k wo pukarenge unhen ye zid thi k har bar ham sada dete wo tera gam tha k tasir mere lahje ki k jis ko hal sunate use rula dete tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete tumhari yad ne koi jawab hi na diya mere khayal k ansu rahe sada dete samton ko main ta-umr kosta Syed wo kuch na kahte magar honth to hila dete By: Wasi Shah

0 comments: