Note

This Blog is under construction will be online soon.

Note

This Blog is under construction will be online soon.

Note

This Blog is under construction will be online soon.

Note

This Blog is under construction will be online soon. .

Note

This Blog is under construction will be online soon.

Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Urdu Poetry. Show all posts

Poetry

kabhi kisi se

zikar-e-judai mat karna,is dil ki kabhi ruswai mat karna,

jab dil utth jaye hum se to bata dena,na bata kar bewafai mat karna.

wo husn-e-mujasim, kamal uski ankhen,

sarapa-e-mhabat jamal uski ankhen,

main jb b koi sawal us se pochon,

mje roz deti hain taal uski ankhen,

jo baiche to dono jahan de k le lon,

wo chehra wo zulfain wo gaal uski ankhen,

agr koi poche k donia me kia hy.

zamana dega misaal uski ankhen..

"tum bohat yad aatay ho"

jab shaam k saye dhaltay hain,

jab souraj doobne lagta hai,

jab neely neely ambar pay,

ek laali c chha jati hai,

jab sard hawa k jhonko say,

dil moam sa pighla jata hai,

us waqt ka aalam mat poochho,

"tum yad kitnay aatay ho"...

kisi ki rah main ankhain bicha kar kuch nahi milta

yeh dunya bewafa hai

dil laga ker kuch nahi milta

koi b lout kar aata nahi aanso bhanay say

kisi ki yaad main dil ko rula ker kuch nahi milta

kisi k dil pay kya guzray kisi ko kya khabar is ki,

kisi ko apna hal-e-dil suna kr kuch nahi milta..

wo aksar fursat me ek kaam krte hen,

bana k aaina hamen salam krte hen

uski masoom ada'en use ruswa na kr den,

wo likh k darakhton pe mera naam aam krte hen

us k maathe se ubharta he subha ka noor,

aur andhere uski zulfon me aaram krte hen

aankhon se waardaten karna he paisha un ka,

dilon ki choriyan wo sar'e'aam karte hen

zamana tera hi talab'gar sahi lekin...!

kuch husn wale hamara b ahtaram karte hen.

mujhe acha sa lagta hai,

tumharay sang sang chalna,

wafa ki aag main jalna,

tumhay naraz ker dena,

kabhi khud b rooth jana,

tumhari beyrukhi per b,

tumhari aarzo krna,

khud apnay dil ki dharkan say,

tumhari guftagu krna,

mujhay acha sa lagta hai,

bohat acha sa lagta hai,

tumhi ko dhekhtay rehna,

tumhi ko sochtay rehna,

buhat gehray khyalon mein,jawabon mein,

sawalon mein,

mohabbat key hawalon main,

tumhara naam aa jana,

mujhe acha sa lagta hai.

Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar

Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar Phoot ker rone lage hain mai muhabbat aur tum Hum ney joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb Raastey khone lage hain mai muhabbat aur tum Chaand ki kirno ne humko is tarah bosa diya Devta hone lage hain mai muhabbat aur tum Aaj phir mehroomiyon ki daastane orh ker Khak mai sone lage hain mai muhabbat aur tum Kho gaye andaaz bhi awaz bhi alfaz bhi Khamshi dhone lage hain mai muhabbat aur tum By: Wasi Shah

tum meri ankh k tewar na bhula paoge

tum meri ankh k tewar na bhula paoge ankahi bat ko samjhoge to yad aunga ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe safah-e-zist ko paltoge to yad aunga isi andaz mein hote the mukhatib mujh se khat kisi aur ko likhoge to yad aunga sard raton k mahkate hue sannaton mein jab kisi phul ko chumoge to yad aunga ab tere ashk main honthon se chura leta hun hath se khud inhen ponchoge to yad aunga shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal kisi diwar ko thamoge to yad aunga is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga By: Wasi Shah

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete

dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna dua wo karte k ham asman hila dete hamein ye zom raha ab k wo pukarenge unhen ye zid thi k har bar ham sada dete wo tera gam tha k tasir mere lahje ki k jis ko hal sunate use rula dete tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete tumhari yad ne koi jawab hi na diya mere khayal k ansu rahe sada dete samton ko main ta-umr kosta Syed wo kuch na kahte magar honth to hila dete By: Wasi Shah

Dil Ki Cho'khaat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai

Dil Ki Cho'khaat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai Tere Loot Anay Ka Emkaan Saja Rakha Hai Sans Taak Bhi Nahi Laite Tujhai Sochte Hoyee Hum Ne Is Kaam Ko Bhi Kaal Pe uTha Rakha Hai Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho Hum Ne Ye Soch K Hee Tum Ko Khafa Rakha Hai Tum Jesi Rootha Howa Choor Gayee Thay Ak Din Hum Ne Us Shaam Ko Seenay Say Laga Rakha Hai Chein Laine Nahi Daite Ye Kisi Toor Mujhai Teri Yadoon Ne Jo Tufaan Utha Rakha Hai Janay Walay Ne Kaha Tha K Wo Loote Ga Zaror Ak Isee Aass Pee Darwaza Khula Rakha Hai Tere Janay Say Jo k Dhol Uthee Thi Ghaam Ki Hum Ne Us Dhool Ko Ankhon Main Basa Rakha Hai Mujh Ko Kal Shaam Say Wo Yaad Bohut Ane Lagay Dil Ne Mud'dat Say Jo Ak Shaks Bhula Rakha Hai Akhri Bar Jo Ayaa Tha Mere Naam Main Ne Us Khaat Ko Kaalejay Say Laga Rakha Hai.! By Wasi Shah

kaash main tere haseen haath kaa kangan hotaa

kaash main tere haseen haath kaa kangan hotaa tu baDe pyar se baDe chaao se baDe armaan ke saath apani naazuk si kalayee mein chaDhati mujh ko aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein tu kisi soch mein Doobi jo ghumatii mujh ko main tere haath ki Khushbu se mahak saa jata jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karti tere honTon ki shiddat se main dahak saa jata raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati marmari haath kaa ik takiya banaya karti main tere kaan se lag kar kai baaten karta teri zulfon ko tere gaal ko chumaa karta jab bhi tu band qabaa kholne lagati jaanaaN apani aankhon ko tere husn se kheraa karta mujh ko betaab saa rakhta teri chaahat kaa nashaa main teri rooh ke gulshan mein mahakata rahta main tere jism ke aangan mein khanakata rahta kuchh nahi to yahi benaam saa bandhan hota kaash main tere haseen haath kaa kangan hota By Wasi Shah

Aj Jane Ki Zid Na Karo

aj jane ki zid na karo yun hi pahlu main baithe raho haye! mar jayenge, ham to lut jayenge aisi baten kiya na karo tum hi socho zara kyun na roke tumhen jan jati hai jab uthke jate ho tum tum ko apani kasam jan-e-jan bat itni meri man lo waqt ki qaid main zindagi hai magar chand ghariyan yahi hain jo azad hai in ko kho kar abhi jan-e-jan umr bhar na taraste raho kitna masum-o-rangin hai ye sama husn aur ishq ki aj meraj hai kal ki kisko khabar jane-jan rok lo aj ki rat ko gesuon ki shikan hai abhi shabnami aur palkon k saye bhi madahosh hain husn-e-masum ko jane-jan bekhudi main na rusva karo By Faiyaz Hashmi

Dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana

dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna wan nahin waqt to ham bhi hain adim-ul-fursat us se kya kahiye jo har roz kahe kal milna ishq ki rah k musafir ka muqaddar malum dasht-e-ummid main andeshe ka badal milna daman-e-shab ko agar chak bhi kar len to kahan nur main duba hua subah ka anchal milna By Parveen Shakir

Aye Kash Wo Wapis Ajaye

Kuch Raat Ki Anakhain Bhigee Thi Or Chand B Rootha Rootha Tha Kuch Yadain Uski Baqi Thi Or Dil B Toota Toota Tha Kis Morh Pe Bichre Yaad Nai Honton Pe Koi Faryad Nai Us Wadey Ki B Khabar Nai Wo Sacha Tha Ya Jhoota Tha Her Lamha Aahen Bhartin Hain Bus Ik Dua Hi Karti Hain Aye Kash Wo Wapis Ajaye Aye Kash Wo Wapis Ajaye