kaash main tere haseen haath kaa kangan hotaa

kaash main tere haseen haath kaa kangan hotaa tu baDe pyar se baDe chaao se baDe armaan ke saath apani naazuk si kalayee mein chaDhati mujh ko aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein tu kisi soch mein Doobi jo ghumatii mujh ko main tere haath ki Khushbu se mahak saa jata jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karti tere honTon ki shiddat se main dahak saa jata raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati marmari haath kaa ik takiya banaya karti main tere kaan se lag kar kai baaten karta teri zulfon ko tere gaal ko chumaa karta jab bhi tu band qabaa kholne lagati jaanaaN apani aankhon ko tere husn se kheraa karta mujh ko betaab saa rakhta teri chaahat kaa nashaa main teri rooh ke gulshan mein mahakata rahta main tere jism ke aangan mein khanakata rahta kuchh nahi to yahi benaam saa bandhan hota kaash main tere haseen haath kaa kangan hota By Wasi Shah

0 comments: