zikar-e-judai mat karna,is dil ki kabhi ruswai mat karna,
jab dil utth jaye hum se to bata dena,na bata kar bewafai mat karna.
wo husn-e-mujasim, kamal uski ankhen,
sarapa-e-mhabat jamal uski ankhen,
main jb b koi sawal us se pochon,
mje roz deti hain taal uski ankhen,
jo baiche to dono jahan de k le lon,
wo chehra wo zulfain wo gaal uski ankhen,
agr koi poche k donia me kia hy.
zamana dega misaal uski ankhen..
"tum bohat yad aatay ho"
jab shaam k saye dhaltay hain,
jab souraj doobne lagta hai,
jab neely neely ambar pay,
ek laali c chha jati hai,
jab sard hawa k jhonko say,
dil moam sa pighla jata hai,
us waqt ka aalam mat poochho,
"tum yad kitnay aatay ho"...
kisi ki rah main ankhain bicha kar kuch nahi milta
yeh dunya bewafa hai
dil laga ker kuch nahi milta
koi b lout kar aata nahi aanso bhanay say
kisi ki yaad main dil ko rula ker kuch nahi milta
kisi k dil pay kya guzray kisi ko kya khabar is ki,
kisi ko apna hal-e-dil suna kr kuch nahi milta..
wo aksar fursat me ek kaam krte hen,
bana k aaina hamen salam krte hen
uski masoom ada'en use ruswa na kr den,
wo likh k darakhton pe mera naam aam krte hen
us k maathe se ubharta he subha ka noor,
aur andhere uski zulfon me aaram krte hen
aankhon se waardaten karna he paisha un ka,
dilon ki choriyan wo sar'e'aam karte hen
zamana tera hi talab'gar sahi lekin...!
kuch husn wale hamara b ahtaram karte hen.
mujhe acha sa lagta hai,
tumharay sang sang chalna,
wafa ki aag main jalna,
tumhay naraz ker dena,
kabhi khud b rooth jana,
tumhari beyrukhi per b,
tumhari aarzo krna,
khud apnay dil ki dharkan say,
tumhari guftagu krna,
mujhay acha sa lagta hai,
bohat acha sa lagta hai,
tumhi ko dhekhtay rehna,
tumhi ko sochtay rehna,
buhat gehray khyalon mein,jawabon mein,
sawalon mein,
mohabbat key hawalon main,
tumhara naam aa jana,
mujhe acha sa lagta hai.
0 comments:
Post a Comment