tum meri ankh k tewar na bhula paoge

tum meri ankh k tewar na bhula paoge ankahi bat ko samjhoge to yad aunga ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe safah-e-zist ko paltoge to yad aunga isi andaz mein hote the mukhatib mujh se khat kisi aur ko likhoge to yad aunga sard raton k mahkate hue sannaton mein jab kisi phul ko chumoge to yad aunga ab tere ashk main honthon se chura leta hun hath se khud inhen ponchoge to yad aunga shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal kisi diwar ko thamoge to yad aunga is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga By: Wasi Shah

0 comments: